Sunday, 30 September 2018

Lottery ki Tokri

Note: Yah Kahaani sacchi ghatna par adhaarit hai aur iska sambhand abhi bhi jeevat logon se hai jinhone is poori ghatna ko shabdon ka roop diya hai.. :D

"Kasam hai bhagwan ki agar agey se kabhi tujhe apne sath khilaya to! Tu to bada hi neech nikla! Oye kaan khol kar sunle ab tere se mera koi vasta nahi . Ja aur naye dost dhund, unki chugli kha, aur aish kar. Mera sath khelna to bhaiya na na. Dhokebaaz, chala ja meri ankhon ke samne se! "

Bhala kaun itne katu shabdon me baat karta hai apne pyare chote bhaiya se, par agar wo chugli khaye aur acche khase chalte khel ka gud gobar karde to ? Kya tab bhi aap yahi kahenge ki wo bekasur hai!  Yakin maniye….bilkul bhi nahi…

Aaangan mein padi tooti hui eenton ke dher par gusse se phooli hui baithi, gud gatta chabati hui Nexy haath phaink phaink kar aur ankhein matkate hue pony ki class le rahi thi. Pony ankhein jhukaye, apne dono hathon ko kamar ke peeche bandhe aur apne pairon se mitti mein chitrakari karte hue, paschataap mein bighe hue swaron mein bola. “arey maf karde na, chal ho gayi galti, a gaya gussa, ubal gaya dimag aur po diya mummy me. chal ab gussa thook de, jo ho gaya so ho gaya, agey ka soch!!"

Manzar dekhne wala tha. Par aisa hua kya tha jisko lekar Nexy Hindi filmon ke akdu aur atyachari zamindar ki bhanti pesh a rahi thi aur Pony budhe ramu kaka ki tarah uske samne maafi ki  guhaar laga raha tha? Chaliye vistaar mein batate hain....

Nexy aur Pony ka saath aisa tha jaise “Jal bin kamal’ aur ‘Chandra bin Rajni’. Ek doosre ke bina veh adhure the. Ek ser to doosra sawa ser. Ek jagah tik kar biathna to jaise unki fitrat mein hi nahi thi aur duniya mein agar unke liye koi sabse kathin karya tha, to weh tha dopahari mein sona. Ye unki niyati aur pravatti dono ke khilaf tha. Unki mummy chahein lakhon zor laga letin par mazaal jo un dono ko kamrein mein kaid karke rakh patin. Yahan mummy ne nanha sa kharrata bhara, aur wahan Nexy aur Pony chup chap pair dabaye, halke hath se chath ka dawaza khol kar, behosh kar dene wali dohapari mein kuch naya khel ijaat karne mein lag jate.

Kyunki doctor doctor, teacher teacher, army army ityadi khel khelkar weh dono bahut hi uub chuke the, ab mann tha kuch chunotipoorn aur sahasik karne ka. Jisme risk ho aur bharpoor adventure. Apne angan ki sankari deewar pe chalne ka  challenge ya ghar mein lage neem pe ped ki sabse unchi daal par baithne ka challenge wah pehle hi kayi baar poora kar chuhke the isliye unhe dobara karne mein koi mazza nai reh gaya tha. Unhe ab chahiye tha "Fear Factor" bhanti kuch kathin aur risk se bharpoor task.

Dono jeene ke seediyo par baith gaye aur shuru hue ek naya khel ijaat karne ka brainstorming session. Ungliyon mein Crax phansaye aur muh mein chewing dabaye dono soch vichar mein doobe the. Tabhi chewing gum ko mooh se nikal kar dheere dheere sidiyon pe ek pade maili kuchle se toffee ke wrapper mein lapetate hue Pony bola “ ek bahut hi zabardast idea aya hai, par chor tere baski nahi use poora karna.. chal Jane de.." Pony ki ye tarkeeb hamesha kaam karti thi..Jab bhi use lagta Nexy uske kisi idea par swikrati nahi degi, wah Nexy ko ye bolkar ki " Suno beta Nexy tumse na ho payega" usse pass karwa hi let aur Nexy bhi badi didi hone ka zor dikhate hue ki uski haan mein haan mila hi baithati thi.

Pony jab bhi yah bolta ki “Nexy tere baski nahi”, badi didi idea bad mein sunti uspar apni sweekrati pehle hi de detin. Aisa kuch nahi tha Jo Nexy ke baski baat na ho. Apni nanhi unglion mein phanse crax ko mooh mein dalte hue Pony bola…"Accha to sun..kya hoga agla game…khusur phusur khusur pusur…dheere dheere Pony ne Nexy ko naya game plan samjhaya. Nexy ko plan sunkar mazza to bahut aya par halka sa shikan uske mathe par saaf tha. Manlo agar wo dono is task ko karne mein safal nahi rahe to !! Uska anjaam bahut hi ghatak ho sakta tha. Par agar poorn kar liya to bhinn bhinn prakar ke mazedar khel khele ja sakta the. Pony ke plan mein veh sab kuch tha jiski unhe tahe dil se talaash thi, Adventure, Challenge, Fear, Risk, aur bahut saari masti!!

Aji batate hain batate hain aur unke is bhavya plan par se parda hatakar dikhlate hain akhir vah karne kya ja rahe the?

Nexy aur Pony ke ghar ke peeche ek wakeel sahib ka ghar tha jo koi chota mota ghar nahi tha..Ekron mein phaili lambi chaudi zameen ke beechon beech khadi ek laajawab khoti jiske chaaron aur bade bade Sheesham, Safeda,  aur Gulmohar ke ped khade the. Nexy aur Pony ke ghar ki aangan ki deewar se laga hua tha unhi ka ek toota phoota khandar nooma kamra jo koyle se bhara rehta tha.Us kamre ke chaaron aur ghani hariyaali thi par phir bhi wah wakeel ki kilometer door khadi khoti se saaf dikhayi diya karta tha. Us kamre ki bina munder ki chatt par chadhna bahut hi asan tha kyunki veh kamra Nexy aur Pony ke aangan ki deewar se kamar se kamar lagaa kar khada tha.



Har sham wakeel ke ghar se "dhaam dhaam" ki awazein atiin thin. Jee nahi ye koi saamaan girne ki awaz nahi hoti thi ye thi uski lambi nali wali bandook ki awaaz jisse wah subah sham apne kothi ke paas pedon se ghire aangan mein apna raub dikhane aur rutba jamaane ke liye chalaya karta tha.

Chaliye us toote foote kamre par wapis ate hain. Kuchi hi dino pehle apne neem ke ped par ek unchi daali par baithe hue ek din Pony ne dekha us toote phoote kamre ki chatt par kuch bikhra pada hai. Us chatt par jo kuch bhi bikhra pada tha usi ko pana tha unka maksad jiske sahare wah dono bahut sare majedar khel khelne ke sapne bun rahe the.

Akhirkar Pony ne Nexy par Poorn bharosa karte hue usko khulasa kiya ki usne ek bar kamre ki chatt jhank kar dekha tha. Us par dheron lottery ki gaddiyan padi hain . Kaun fainkta tha aur kab fainkta iska koi ata pata nahi tha aur un dono ko in baaton se koi lena dena bhi nahi tha. Unke liye to wah lottery ke tickets bahut kaam ki cheez thin..Aise kiitne khel weh khel sakte the jinme rupiyon noton ki jagah wah lottery ki gaddiyan aur tickets ka prayog kar sakte the, jasie ki plot plot, bus conductor, aur han unka sabse priya khel Monopoly jisme wah gatte ke noton se khelna ab apni tauheen samajhte the.


Apas mein santh ganth kar dono ne is kaam ko anjam dene ka samay aur din tay kiya. Wakeel ko dhyan mein rakhte hue bakayda ranneeti banayi gayi kyunki agar galti se usne dekh liya to lene ke dene pad jayenge. Dono ko kahin na kahin ye bhay tha ki jaise hi wah wakeel ki property me koonch karenge, jis goli ko wah apna rutba dikhane ke liye hawa mein fire karta tha wah unki chaati ke aar par nikaal di jayegi. Agley din dopahar ke 3 baje is kaam ko anjaam dene ka samay nishchit kiya gaya.

Nexy ne Pony ko mission ke liye tayyar karna shuru kiya. Halakin June ki kamartod garmi thi, par Pony ko garam dastane, ek monkey cap aur bournvita ke dabbe se sath muft mile goggles pehanaye gaye. Akhir ye koi chota mota mission thode hi na tha bhai. Poori tayaari atyant zaroori thi. Pony ko deewar par chadhne ki training pehle hi se acchi khasi thi. Dhanyawad kijiye Nexy bitiya ka jo use din raat army army khila kar pakka kar chuki thi aur uski rigiorus training ne  Pony ko ek ucchh shreni ka saccha bhartiya sainik bana diya tha.




Poori hidayat bartane ke tips and advice dekar Pony ko Nexy ne wakeel ki chatt par surgical strike karne ke lie vida kar diya. Jahan Pony apne angan ke deewar se spider man ki tarah chalange lagata hua us kamre ki chatt par kohni ke bal raingta hua ja raha tha, wahan neeche angan me khadi Nexy survillence camera bani hui thi aur pony ki honsla afzai kar rahi thi. “ Arey Pony thoda dhyan se, mission se bhatakana nahi hai, billi ka bacha ya katati patangon pe focus nahi karna. Bas apne goal ko yaad rakhiyo. Ek choti si tooti phooti plastic ki kandiya bhi Pony ko pakda di gayi jisme usne chatt par bihkhri hui lottery ki gaddiyan batorni shuru karin aur dekhte hi dekhte poori tokri lottery ki laal peeeli hari gulabi gaddiyon se labalab bhar gayi. Pony unhe dekh kar phoola nahi sama raha tha. Yakin maniye in dono ke liye sab uncle Scrooge ke khazane se bhi zyada keemati thi.


Mission accompalish kar, chehre pe lambi muskurahat tang, Pony jaise hi tokri lekar apne angan ke deewar ki taraf muda usne dekha ki kuch hi doori par budha wakeel ek badi si kursi par pasra hua tha aur uske sirhane uski badi naak wali bandook bhi aram farma rahi thi. Wakeel ko dekhte hi jaise Pony ka kaleja muh mein a gaya aur wah mann hi mann bhagwan se apni jaan ki guhaar lagane laga. 


Use kahin na kahin ye dar tha ki agar galti se wakeel ne use dekh liye, to jo goli weh rutbe ke liye hawa mein chora karta tha, wo pony ki chati ke aar par nikal di jayegi. Wakeel wahan se sarkane ka naam hi nahi le raha tha, aur Pony se tapti dopahari mein ab aur nahi baitha ja raha tha.Pony ne hanuman ji ka naam liya aur apni training par poorn wishwas karte hue kohni ke bal raingta hua aur tokri ko apni bagal mein dabaye hue akhirkar apni angan ki deewar tak pahunch hi gaya. Usne dheere se Nexy ko tokri neeche pakdai aur apne angan mein chalaang lagai aur ek solider ki tarah Nexy ko rob aur jazbe se bhari salami thoki. Nexy ne uski salaami ka jawab salaami se hi diya. 


Dono ki khushi ka koi thikana hi na tha. Aisa lag raha tha jaise un dono ke hath Kalp Vriksh lag gaya ho. Mission ka ab doorsa phase shuru hua jo tha us lottery ki tokri ko ek surakshit jagah par chupana. Kyunki agar wah mummy ke hath lag gayi to dono rooyin ki tarah dono dhun diye jate. Isiliye tokri chupayi gayi unke ganv ke badhai chacha ke varande mein pade auzaron ke bore mein. 





Chacha chutti manane ek mahine ke liye ganv gaye hue the isliye unke bore mein lottery chupana bahut si safe tha. Ab agle din se game khelne shuru kiye gaye. Yahan mummy dopahari mein aram farmati, aur wahan peeche se Nexy aur Pony gali ke bacchon ko ikattha kar apne varande mein bank chalate jisme kagaz ke paison ki jagah ab noton jaise deekhne wale rangbirangi lottery ke tickton ne le li thi. Din beetate gaye aur naye naye game ijaat ho gaye. kabhi makaan makaan, kabhi kisi patient ka bada ilaaj, aur kabhi.zameen ki kharid bech. In sab khelon mein lottey ka bharpoor prayog hota.

Itavar ka din tha, Pony aur Nexy aangan mein Army Army khel rahe the ki unke papa ne unhe awaz lagayi.. "Arey Khapkaonon!! kabhi padh bhi liya karo...idhar ao tum dono zara" Jhunjhulate hue dono apne khel ko beech mein chor papa ke pass kamre me pahunche..dono ke muh tapti garmi mein khel khel kar bandar jaise laal ho rahe the. Papa ne dono ko dekha aur tapaak se bole.."Arey Nexy tera pichle hafte jo SST ka cycle test hua tha uska paper kahan hai? Kitne number aye…”papa wo mile nahi” madam beemar tha to wah ayi nahi..Nexy ghabrate hue boli.

Papa ne Nexy ko phir se hadkaya " Accha chalo theek hai to mein kal hi school jakar pata karta hu" Dar ke maare nexy ki halat kharab ho rahi thi…”ja jaldi se paper lekar aa" papa gusse me bole..Nexy ke pas ab koi chaara nahi tha..wah bhagi bhagi saman se bhare store room mein gayi jahan ke badi lohe ki almari thi..us almari ke peeche Nexy aur Pony apne cycle test ke papers ka udhyapan kiya karte the.






Jaise taise usne apna paper nikalaa aur papa ke hathon mein thama diya. Apne frock ki ek belt muh mein chabati hui nexy soch rahi thi ab iska anjam kya hoga tabhi papa bola “hmm 10 mein se 4, sahi ja rahe ho, arey ye doosra paper kiska hai.??..Nexy jaldi baazi mein Pony ke cycle test ka bhi ek paper utha layi thi jiska papa ko katai gyan nahi tha. "Pony maharaj tum bhi peeche nahi ho waise".. Ganit mein 10 mein se 2...kab hua ye exam? " Pony ke pairon se mano zameen khisak gayi thi, uske muh se shabd jaise phoot hi nahi paa rahe the..wah bas tukur tukur Nexy ko dekhe ja raha tha.

Badle ki bhawana uski ankhon me saaf jhalak rahi thi. Dono ko papa ne bhare hath chaaton ka prasad diya. Par Pony ko is bat ka itna dukh nahi tha ki wah pita balki is baat ki zayda khushi thi ki Nexy ko usse zyada chatein raseed hue. Use ek padta aur Pony ke chehre pe ek ajeeb si muskaan cha jati. Usne thaan li thi Nexy se is betime maar ka zurmana bharna hi padega. Khel band ho gaya aur dono ki cold war 4 din tak chali.




Nexy ko jitna lottery se lagav tha utna hi Pony ko usko mazza chakhane ka. Ek din mummy dopahari mein pony aur nexy ko bagal mein dabaye dopahar ki need ka mazza le rahi thin ki Pony bhole masoom bacche ki awaz banakar bola "mummy tumko pata hai Nexy mujhse wakeel ke yahan se lottery mangwati hai"..ye sunte hi mummy ki need furr ho gayi aur wah meerkat ki bhanti palang par seedhi baith gayin. Mummy ka saara pyara ek kapoor ki tikki ki tarah ud chuka tha. Aur jallad wala torture chalu hua jiske agey Nexy zyada der sach ko chupa nahi payi..Mummy ye soch soch kar pareshani thin ki abhi se lottery jaisi adaton ke chaske lag rahe hain to kya karenge ye dono jeevan mein. "Mummy isne chacha ke bore mein chipayin hain lottery puchlo nahi to"..Pony chehkte hue bola...




"Nexy ja fatafat nikal ke la wo kandiya jisme lottery hain". mummy bhavein chadhati huin bolin.Nexy dari sahmi se varande se lottery ki tokri lekar ayi aur mummy se 2 hath ki doori par rakhdi…Gusse me laal peeli hui mummy ne Pony se bathroom se lohe ki balti mangwai..angan mein leja kar usmien sari lottery ke gaddiyan bharin aur unmein diya salai laga dali.

Un jalti lottey ki gaddiyon ke sath nexy ke sapnon ke bulbule bhi phoot gaye. Uski ankhon se aanson monsoon ki barish ki tarah zoron se tapak rahe the par Pony ki ankhon mein to alag hi chamak thi. Wo lottery se nikalti rang bi rangi aag ke mazze le raha tha par is khushi ke beechon beech veh yeh bhul hi gaya tha ki rehna to Nexy ke sath hi tha isiliye usse sulah karni behad zarori thi.

Kone mein khadi Nexy jalti lottery ko dekh andar hi andar bhuji ja rahi thi thi ki tabhi Pony bola "arey Nexy dekh to kaisi rang birangi aag nikal rahi hai!! "Nexy ne Pony ki taraf bhooke sher ki tarah dekha aur use ansuna kar diya. Pony samajh gaya tha mamla sangeen hai, Nexy itne asani se manegi nahi aur na use choregi.

Agley din himmat kar Pony se Nexy se mafi mangi, Nexy ne bhi uski acchi khaasi class li par uski mafi se vah katai nahi peeghli. Bina nexy ke kisi khel mein mazza nahi tha, na deewar par koyle se chitra banane mein, na patang lootne mein aur na hi matti mein naliyan banane mein.

Pony ne mummy se do rupaye liye aur bhag ghar nange pair pados ki dukan se do kamal coconut bar lekar aya jo usne Nexy ko din. Itna meetha surprise gift pakar Nexy se Pony ko maaf kiya aur boli "chal theek hai jo hua so hua...khatm karte hain ladai..bata nahi sakti kitna dukh hai mujhe lottery ke jal jane par ek baat bata lottery jalane par hari peeli laal rang ki aag kaise nikal rahi thi? "

Pony hanste hue bola..” han samajh to mujhe bhi nahi aya..thoda baat ko thandi ho jane de, phir se ikatthi karke lottery chatt par jalayenge aur is myth ko bust karenge”..Dono thahake marke hanste hue, ek doosre ke gale mein baahein daal doodh ki dolchi uthakar mother dairy ki taraf nikal gaye. :D

















Sunday, 6 March 2016

Why do I write ?

It has been over 5 months now since I wrote a post on my blog. I would love to write  often, but due to my strict daily schedule, I could hardly take out time to update it.

One of my friends who recently forayed into the blogging world questioned me why I was not updating my blog anymore. He told me that the Alexa ranking for my blog has massively slumped in the last couple of months. I promptly replied to him, “ I write for myself, not for Alexa, Google or any for any kind of search engine and metrics for that matter”

My blog is my tiny space in this infinite world of the web. I would rather leave it untouched than posting about random subjects  just for the sake of rankings and traffic. 

Having said that, going forward, I would definitely try to be persistent with adorning my blog with my personal stories, my favorite music, my views about the subjects I care for, and my travel journeys to name a few.


I am really looking forward to posting the second part of the short story “ Mein Myaun” which is very close to my heart. It is the story about my beautiful and lovely pet cat that became the apple of my eyes from being just another stray kitten.




Sunday, 20 September 2015

Mein Myaun !! Part 1

Raat ke 2 baje the aur mein apne ghar ki taraf kooch kar rahi thi, tabhi mera pair phisla aur mein us teemanjale makaan se neeche ja giri. Aisa laga jaise sab kuch ghoom raha ho.. Us kaali andheri sardi ki raat mein sab kuch aur kala darshayi de raha tha.Kaano mein bas sannate ki awaz ja rahi thi. Mein apne ghar se shayad 10 kadam hi door thi, par na chal pane ki himmat thi, na un teeno ko awaaz lagane ki…

Meri ankhein dheere dheere band ho rahi thin aur kuch hi palon mein sab kuch bilkul shant ho gaya..as paas kuch nahi bas shanti hi shanti !!..Aisa ehsaas jise shabdon mein vykat kar pana bahut hi kathin hai. Phir achanak se mein uthi, apne shareer par lagi dhool jhaadi aur ek lambi angdaayi lete hue mene apni ghar ke taraf dekha jo suraj ki lalima mein naha raha tha.

Isse pehle ki mein ghar ke andar jati, samne se wo teeno bhagte hue aye. Unhe dekh kar meri khushi ka thikana hi nahi raha..”Antatah mein un teeno ke pass pahunch hi gayi thi.. Par yeh kya ? Unhone to mujhe andekha hi kar diya ? Mein teen din ghar kya na ayi mujhe bhool hi gaye ?"

Dil toot sa gaya, ankhein bhar ayin, seene mein bharipan sa lagne laga jaise kisi ne chura bhonk dia ho. Mene peeche mudkar dekha to wo teeno usi teemanjale makaan ke neeche baithe hue the..Mujhe kuch samajh nahi a raha tha... Mein dheere dheere unki taraf badhi aur chup chap un teeno ke peeche jakar baith gayi.

Un teeno ki pathrayi si aakhnein ek tuk neeche taak rahi thin jinmein se ansoon barish ki tarah tap tap gir rahe the..Mene apnae pair se un teeno ke hathon ko sahlaya par mujh par to koi dhyan hi nahi de raha tha. Mein jhunjhlate hue un teeno ke samne ki taraf ayi to dekha ek kali safed  bejan billi padi thi, mujhe kuch samajh nahi a raha tha…mein dabe hue kadmon se uski taraf badhi aur use choone ki koshish kari tabhi veh teeno phooot phoot kar ro pade aur bas ek ke hi baat dohraye ja rahe the“ Maun wapis Aja Maun”..Mein yeh sunkar halka sa muskurayi aur un teeno ki taraf pyaar se dekhte hue ek lambi "Myaaaaon" mein kaha “ arey tum ro kyun rahe ho???” “Mein to idhar hu..samne dekho to zara!!..Mein yahan hun !!!!…Mein Myaaaun!”