One of the most unforgettable incidents of my childhood is when I came up with
the idea of organizing a naming ceremony for a stray puppy. My younger brother and couple of other
kids of my village were my partners in the crime who enjoyed it to the bits. All
of them are married now (except my bro) and we hardly get to see each other but whenever they
meet me they never cease to cherish the memories of being the part of this
unusual ceremony. I have penned down this whole incident before in
the form of a short story but then I thought it would be interesting to create
a poem out of it. So here it is:
Mannu
phoola bahut samaya tha
Jis din
usko wo paaya tha
Ek kaala
chota sa pilla
Jo uske
dil ko bhaaya tha
Nanhe nanhe
kadmon se usne
Phir kooch
kiya chotu ke ghar
Jiska lagta
tha kabhi na mann
Apni behna
muniya ke bin,
Chotu ne
dekha pille ko
Aur cheenkh
lagayi behna ko
Daudi daudi
ayi muniya
Khel kund
thi bas jiski duniya,
Jaise hi
muniya ne dekha
Usne phir
ek pal ko socha
Ki kyun
na karein hum naam karan
Aur dein
pille ko naya janam,
Par kaun
karega tayyari ?
Ye soch
ke chotu ghabraya
Par muniya
thi chaturon se chatur
Usne sabko
phir samjhaya
Din taya
hua aur card batein
Sab aas
pados ke bachhon ko
Jo hue
khushi khushi tayyar
Us naam
karan me ane ko,
April
ki bhari dopahari mein
Sab pahunche
mannu ke kheton par
Jahan baithi
thi muniya pehle se
Apne kaagaz
patri lekar
Chotha
baitha pille ke saath
Mannu nange
tinku ke paas
Ab shuru
hua bhai program
Bole sab
zor se siyaa raam,
Phir apne
school ke baste se
Muniya
ne kheenchi ek kitaab
Jispe thin
likhin ABCD
Jo thi
muniya ki sabse khaas
Phir oot
pataang mantra padhkar
Muniya
ne palta panno ko
Apni nahi
ungaliyon se
Baancha
Angreji aksharon ko,
Chotu
phir bola Muniya stop
Aur D
akshar ko kiya lock
Sab
sochein D se naam kya ho
Mannu
bola kuch bhi rakh do
Dada, Monty,
Rango and Ron
Chota bola
kyun nah ho Don,
Sab raazi
hue naam sunke
Pilla ko
puchkara jamke
Phir
kheench ke usko apni or
Padka uske
ek kaan ka chor
Aur
jor se Muniya chillai
Tera naam
abse hai Don bhai,
Chota
bola ab aisa karein
Don ko
hum settle kardein
Kyun na
banayein ek pyara sa ghar
Jisme rahe Don din bhar
Tinku
Mannu ne beenin eent
Chotu ne
khodi nanhi si neev,
Ghol
ke paani mitti mein
Bana cement
yun chutki mein
Minton
mein chotu ne kiya khada
Ek bheent
ka banglow khoob bada,
Phir karne
ko jaanch padtaal
Bheja Don
ko andar tatkal
Tabhi kaain
kaain Awaaz ayi
Sab soche
ye kya hua bhai!!!
Dekha to
ghar tha dahaa pada
Neeche
tha uske Don daba
Muniya
boli mera pyaraa Don
Kisne
toda mujrim hai kaun?
Hum phir
se banayenge tera ghar
Phir tujkho
hai kahe ka darr
Par Don
tha sab kuch samajh gaya
Usne phir
socha bahut hua
Kutte
ka apna roop dikha
Usne phir
sabko kiya dafaaa,
Ab Bahut
jhel chuka the don
So toda
usne apna maun
Par yaad
ayi use muniya ki
Chotu
Tinku ki duniya ki
Phir kooch kiya wo unki or
Jinse
hi bandhi thi uski dor
Jaise
bhi the wo the pyare
Lage Don
ko wo sabse nyaare,
Muniya
ne dekha Don ko jab
Usne socha
ek pal to tab
Ki kiya
jaye iska kya ab?
Par
sabko tha Don pyara
Ankhon
ka tha wo ab taara
Phir
miljul kar ye taye hua
Kyun na
bane ab ghar ek naya,
Jisme rahe
don khushi khushi
Ye soch
ke sabko ayi hansi
Par nahi
bana phir koi ghar
Raha don
pyar se apne bal par .
.
The title of your post is amazing :) i was immediately attracted. and what a narration of the incident through poepm. reminds me of my childhood hindi poems..oh you made me so nostalgic :) Don to dil ko choo gaya :)
ReplyDeletethanks a lot for such a lovely comment Jiggyasa :)
ReplyDelete